Saturday, 30 January 2016

"Rakshit hamne ghar se bhag kar shaadi ki hai... kya hamare mummy papa hame maaf kar sakenge?" Harshita ki aankhe bhari thi...apne janma dene walon se alag hone ka, unki nafarmani ka dukh use vyakul kar raha tha...
" hamare mummy papa itne kathor nahi ho sakte ki apne bachchon ki Khushiyan unse bardasht na ho... Dheere dheere sab thik ho jaayega", Rakshit apni navbyahta ki aankhon se aansu ponchhta hai aur use apne seene se laga leta hai...Harshita bhi uski bahon me simat jaati hai...
 "Are bhai control karo yahin shuru ho jaaoge kya", Anant dono ki chutki leta hai...
"Bhai tu gadi chalane par dhyaan de... suna hai is raaste par accident bahut hote hain... aur bar bar pichhe palat kar mat dekh" Rakshit Anant ko samjhata hai
"Abe oye ghonchu... pichhe nhi palat kar nhi dekh raha...teri sari kartootein review mirror se dikh rahin hai...bhabhi ko sambhal vaise bhi bahut dukhi hai vo"
"Wah re... bachpan ki dosti ko bhula kar bhabhi ka chamcha ban gaya tu", Rakshit ke honto par apne dost ka majak bannane ke baad meethi si muskan tair gayi.... par Rakshit ki is baat par Anant gambhir ho utha," dekh dost aaj to bol diya par dubara mat bolna.... Tere liye ye jindagi to bahut chhoti si chiz hai apni aatma tak girvi rakh dunga mai"
Aatma ka naam sunte hi Harshita boli,"chup karo tum dono... ek to vaise bhi dar lag raha hai...plz ye aatma shabd dubara mat bolna.... aur mujhe bhookh bhi lag rahi hai"
"Raat ke 11 baje hain aur abhi Jaipur lagabhag 300 km door hai... aas pas koi hotel ya restaurant nahi hoga.... agar dhabe ke khane se kaam chala sako to mai to aage kisi dhabe par rokta hun?",Anant ne puchha
"Are han maine suna hai ki dhabe ka khana bahut achha hota hai...vaise bhi mai ye restaurants ka khana kha kha kar bore Ho chuki hun...",Harshita ki awaj me excitement saaf saaf jhalak raha tha... hamesha rajkumariyon ki tarah jeene wali 23 saal ki vo ladki aaj asli zindagi me kadam rakh rahi thi...romanchit hona bhi lazimi tha... akhir apne pyaar ke sath yun bhagna kisi ko bhi ladki romanchit kar sakta hai... na khud ka hosh na duniya ki parwah... koi maane ya na maane har ladki ke man mein ek dabi khwahish jaroor hoti hai ki ek raat ke liye hi sahi par uska premi use bhaga kar kahin door le jaaye... Aur vo dono to ab shaadi ke pvitra bandhan mei bhi bandh chuke the... ab to ye sath hamesha ke liye tha
 Anant ke jehan me aaj bhi us din ki yadein taza thi jab vo aur Rakshit IIT delhi ke campus me baithkar masti kar rahe the.... Rakshit Anant ke bachpan ka dost tha... schools, engineering prepation se lekar IIT me selection sab sath me... ek jaisi pasand... aadhunik yug ke Jai Veeru...Rakshit Jaipur ke bahut bade Industrialist Mr. Rajshekhar Singh ka chhota beta tha aur Anant ke pita sheher ke Commissioner Shiv Swaroop Dixit the...Mr.Dixit poore Rajsthan me apni kartavyanishtha ke liye mashhoor the..Apne pita ki tarah Anant bhi ek aadrshwadi insaan tha... aur Rakshit vo vakai me Veeru ki tarah hi tha bas chori ki aadat chhodkar... Drinking flirting sabme number one....

Dono basketball kafi achha khelte the... Rakshit college ki basketball team ka captain tha... aj masti majak ke chakkar me dono 5 minute late pahunche practice ke liye....
Dono basketball kafi achha khelte the... Rakshit college ki basketball team ka captain tha... aj masti majak ke chakkar me dono 5 minute late pahunche practice ke liye.... court me pahunchte hi dono ki aankhein fail gayi.... ek khoobsurat aashcharya waha unka intezar kar raha tha... teekhe nain naksh pointed face doodh sa gora rang.... dono ki nazar us ladki par thahar gayi jo apni practice me itna mashgool thi ki use ye bhi hosh na tha ki vo nange pair practice kar rahi hai... achanak uska pair kaanch ke ek tukde par padta hai aur ek cheekh ke sath vo wahin gir padti hai... is cheekh se Anant aur Rakshit ka dhyaan toot jaata hai... dono aanan faanan me ladki ko dekhne pahunchte hai... uske pairon se khoon kafi tezi se beh raha tha... Anant apni spots T Shirt ko faad kar uske pairon me patti bandhta ha

click here to download it in PDF 

Post a Comment: